Thoughts

Ek cheez sikhayi hai Zindagi ne, Agar apne dard pr Dhyaan na do to dard kam sa Ho jata hai!!  

Hum jitna sochte hai utna Tootte hai.. Hum Bhul jye to, Guzra har waqt Ansu ni Ek Nayii Sikh deta hai..

Kbhi kuch hona zaroori  hota hai!! ya to hamre liye, ya samne wale ke liye..

Guzra har waqt laut kar jarur aata hai! par uss waqt tumhe dekhna hai waps wohi raasta ya Nayii Manzil...

Laut kar waps jaana matlb zindagi ka kuch hisaa or barbad karna or nayi manzil matlb zindagi ko or naye tareeke se dekhna..

Zaroori  hai kuch logo ka aana or jaana! warna asli or naklii ka fark na pata Chalta.. 

Zaroori  hai tootna warna, toot ke judnee Ka tareeka na pata Chalta.. 

Zaroori hai Rona warna, hasne ka mazaa na aata... 

Har cheez zaroori  hai par kuch waqt ke liye... Kyuki waqt badlta rehta hai.

Comments

Popular Posts